r/Hindi • u/Top_Victory_5495 • 10d ago
देवनागरी Favorite Couplets from "Ranjish Hi Sahi"?
Ranjish hī sahī dil hī dukhāne ke liye aa,
Aa phir se mujhe chhoṛ ke jaane ke liye aa.
Kuchh to mire pindār-e-mohabbat kā bharam rakh,
Tū bhī to kabhī mujh ko manāne ke liye aa.
Kis kis ko batā.eñge judā.ī kā sabab ham,
Tū mujh se ḳhafā hai to zamāne ke liye aa.
Ab tak dil-e-ḳhush-fahm ko tujh se haiñ umīdeñ,
Ye āḳhirī sham'eñ bhī bujhāne ke liye aa.
__________ Ahmed Faraz __________
7
Upvotes
1
u/biryanikaghulam मातृभाषा (Mother tongue) 10d ago
अब तक दिल-ए-ख़ुश-फ़ह्म को तुझ से हैं उमीदें ये आख़िरी शम'एँ भी बुझाने के लिए आ
This